Bachpan
har zindagi ka pehla padaw hota hai ye bachpan,
har pal yaad aata hai ye bachpan
aaj apni beti ke zariye ek baar fir is bachpan ko jeeti hun
uske nanhi maasoom baton pe kabhi hasti hun to kabhi roti hun
usko dekh aaj phir mann karta hai beeti yaadon ko tatolne kaa
fir un palon ko jeene ka, unko mehsoos karne ka.
Is bachpan ki kuch dhundleee si baatein yaad aati hain
Kabhi maa ka pyaar ko kabhi pita ki daant yaad aakar satati hai.
Har fikr se door kitna shaant hota hai ye bachpan
Zindagi ki har bhag daud se door hota hai ye bachpan
Yun to har pal mann karta un beete palon ko waapis jeene ka
Per aaj kuch apna bachpan zyada hi yaad aa raha hai
Mann hai ki us zindagi mein ek baar fir wapis laut jaaon
Fir apne khilone pe jami hui dhool ko hataoon
Mann karta hai maa se farmaish kar apni pasand ka khana banwaaon
Apne papa sang jaakar apna mann pasand kuch le aaon
Ma papa ki yaadoon ke sang bhai se choto choti baton pe ladna bhi yaad aata hai
Us maar kar ma ke peeche chupna bhi yaad aata hai.
Mann karta hai fir wo geet gungnaaonn ki koi lauta de mere beete hue din wo pyaare pyaare din
Or bachpan mein aaj ek baar fir laut jaaoon.
|
Email this Poetry
|
Add to reading list





