BETIYAN
Bache bhagwan ki den hot hain
beti ho ya beta wo sab ka mann moh lete hain..
Aaj khaskar betiyon ka zikr karungi
Kyu janam se pehle hi maar kar diya jaata hai unko
Is kavita ke zariye is baat ka khandan karungi
Nanhi si khilkhilati pariyaan si wo hoti hai
Are doston beti to wo hai jo har pal apne maa baap ke sang hoti hain.
Itni pyaari hoti hain, itni naadan hoti hain,komal sa mann rakhti hai
Apne se pehle sab ka khyaal wo rakhti hain.
Dhal do jis bhi sanche mein pal bhar mein usme dhal jaati hain
Kabhi beti bankar, kabhi bahu bankar to kabhi maa bankar apna farz nibhati hain.
Kyu janam se pehle maarkar hum betiyon kas astitva khatam kar dete hain.
Ek kul ki nahi balki do kulon ki laaj ko pal mein mita dete hain
Aane do unhe is duniya, is jag ko khushiyon se bharne do
Unko pyaar doge jitna,badle mein usse zyada pyaar de jaayengi
Parai hokar fir aapki yaadon mein aankhon ka paani bankar aayengi
Unke duniya mein naa aanse se ye duniya hi khatam ho jaayegi
Kaun janam dega tumhare ladle ko jab janam dene wali hi maar di jaayegi.
Is galat reet ko aaj hi khatam kar do
Betiyion ko pyaar do ke naare se is sansar ko roshan kar do
Itni umeed rakhti hun ye kavita thoda to aapka mann moh legi
Bete ke moh mein betiyon ko maarne ki parampara ko thaamne mein safal hogi.
Is ummed ke saath is kavita ko yahin samapt karti hun
Ek beti ki maa hun, is jag mein baahein khol kar aur bhi betiyon ka aagaman karti hun.
|
Email this Poetry
|
Add to reading list






