Afra-Tafri duniya mein mana ke kuch thera sa hun main,
baat thodi ajeeb hai kehne ko yun to,par,
khush hun main yun hi, kamaskam,
khud ko pehchanta to hun main,,,,,,,,,,,,,:)
Milne wale poochte hain, yun kuch there hue maza kya hai,
Maine poocha ke tum jo yun haanfte hue ho,aakhir saza kya hai,
hosh mein jeena chahte hain jo agar sab, to yun ,
behoshi mein takrate kadam raaston pe yahan tehlna kya hai!
Afra-Tafri duniya mein mana ke kuch thera sa hun main,
baat thodi ajeeb hai kehne ko yun to,par,
khush hun main yun hi, kamaskam,
khud ko pehchanta to hun main,,,,,,,,,,,,,:)
|
Email this Poetry
|
Add to reading list






