Dekha aaina to khudke hone ka yakeen aaya,
Waqt ke sath na jane tha kahan m khudko chod aaya,
Guzar gaye na jane kitne karvan lamhon ke,
Chaya raha gulshan kabhi,to kabhi patjhad ka sa raha saya,
Aaj rubaru hua hun khud se,
Dum bhar ke saans li hai ,
Jana hai khud ko kareeb se,
Lagta hai gumshuda se the jo armaan
Who paas hi hai hain,
Milke khudse dil ko kuch gumaan sa hain,
Jeeta to m pehle bhi tha,,aaj ,zinda hun ye keh paaya ,
Dekha aaina to khudke hone ka yakeen aaya…………………..
- richa dixit
|
Email this Poetry
|
Add to reading list





